hame dil se apne bhulaane lage haiN
qayaamat ke din paas aane lage haiN
aduu ko gale se lagaane lage haiN
sitam par sitam ham pe Dhaane lage haiN
voh kyuN be-sabab muskuraane lage haiN!
kahiiN aur dil kyaa lagaane lage haiN!
sitam un ke tauba! karam un ke tauba!
adaa kaisee kaisee dikhaane lage haiN
muHabbat bhee dhokaa, wafaa bhee hai dhokaa
yehee soch dil ko manaane lage haiN
bichhaayee theeN kal jin kee raahoN meN palkeN
churaa kar naz^ar aaj jaane lage haiN
muHabbat meN ik pal meN khoyaa hai woh sab
jo paane meiN ham ko zamaane lage haiN
nahiiN pa'er uThate haiN masjid kii jaanib
to sar un ke dar par jhukaane lage haiN
huye haiN muhabbat meiN yuuN dar-ba-dar ham
qaZaa ke bhee ab din suhaane lage haiN
maqta arz hai:-
Zaraa dekho :Ghafil: ko kyaa ho gayaa hai?
Ghazal nazm kya kya sunaane lage haiN
-Mayank(Ghafil)
qayamat: Resurrection, Judgement Day
aduu:enemy
be-sabab:without reason
Karam: favour
masjid kii jaanib: towards mosque
dar-ba-dar: homeless/oust
qazaa: death
Ghafil: My takhallus
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment