khol kar dil ko dikhaa de.nge tum aao to sahii
gile-shikawe bhii miTaa le.nge tum aao to sahii
ham amaavas me.n bhii duniyaa ko dikhaa de.n ge chaa.nd
chhat pe ham, tum ko sajaa de.nge tum aao to sahii
ham ne waadaa yeh kiyaa kuchh na chhupaaye.nge kabhii
tum ko aaiinaa banaa le.nge tum aao to sahii
dil to kyaa cheez hai yeh jaan bhee haazir hai sanam
apnee hastii bhii miTaa de.nge tum aao to sahii
haath maa.ngaa hai to ham thaam ke bhee rakkhe.nge
ham-safar tum ko banaa le.nge tum aao to sahii
maa.ngate kyu.n ho charaagar se Gham-e-dil ki davaa
hum tumhe.n Gham ki dawaa de.nge tum aao to sahii
*chaaragar: physician
be-asar apnii-muhabbat ko na samjho, :Ghaafil:!
aag paanii me.n lagaa de.nge tum aao to sahii
-Mayank
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment