zulm jo ham pe Dhaaye huye hai.n
dil ko wo hee lubhaaye huye hain
yuu.n to dil ko dukhaaye huye hai.n
phir bhi dil me.n samaaye huye hai.n
qadr un ko hamaaree kahaa.n hai
jin pe khud ko luTaaye huye hai.n
kya zaruurat manaane ki ham ko
ham to maane manaaye huye hai.n
un ke dam se hai mehfil yeh roshan
anjuman me.n woh chhaaye huye hai.n
sang-e-marmar sa chehra hai jaise,
chaa.ndnii se nahaaye huye hai.n.(q)
jal rahe ham faqat pyaar me.n aur
bijliyaa.n woh giraaye huye hai.n
dard-e-dil ham kahe.n kis se yaaro.n?
un ke hee sab sataaye huye hai.n
dekh utree huii Shakl bole
kis ka maatam manaaye huye hain?
kab sunenge woh fariyaad meri
dar pe sar ham jhukaaye huye hai.n
meri duniya ko veeraan kar ke
ghar aduu ka basaaye huye hai.n
zakhm un kee inaayat hai 'Ghafil'
Ham usi ko sajaaye huye hai.n
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment