zulm woh Dhaate haiN ham par aazmaane ke liye
ham haiN un ko aazmaate zulm Dhaane ke liye
raaz-e-dil koyee naheeN hai ab chupaane ke liye
aur nah aaNkhoN meN rahe aaNsoo bahaane ke liYe
rasm-e-ulfat ham ne duniyaa meN yeh deKhee hai a'jeeb
dil lagaate haiN yahaaN dil ko duKhaane ke liye
kya kaheN ham ess adaa-e-jabr-e-kaafir ko bhala
haNs rahe haiN haal par mere rulaane ke liye
jo bhi aaya dil ke sho'loN ko hawaa deta rahaa
koyii aaye aag ess dil ki bujhaane ke liye
door masjid aur safar mushkil bohat hai dosto
chalte haiN ham un ke dar pe sar jhukaane k liye
un kaa andaaz-e-maseeHaayee dekh le Mayank tuu
zaKhm de kar kahte haiN woh muskuraane ke liye
-Mayank
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment