March 2, 2009

'ha.nstaa to hogaa aap bhee yazdaa.n kabhii kabhii'

chehre badaltaa kitane hai insaa.n kabhii kabhii
'ha.nstaa to hogaa aap bhee yazdaa.n kabhii kabhii'

naadaa.n kabhii hai bantaa to haiwaa.n kabhii kabhii
hotaa huu.n da.ng dekh ke insaa.n kabhii kabhii

bazm-e-tarab me.n yaad hai naam-e-khudaa kise!
karte hai.n yaad gardish-e-dauraa.n kabhii kabhii!

qaabil samajhataa khud ko woh jannat ke waaste!
gairo.n pe kar diyaa hai jo ehsaa.n kabhii kabhii

daulat pe is qadar to na itaraao dosto
mahalo.n ko hote dekhaa hai veeraa.n kabhii kabhii?

jis raah me.n hai ghar meraa us rah se bhee guzar
tuu puuraa kar de dil kaa yeh armaa.n kabhii kabhii

:Ghaafil:, khudaa ne tujh ko diyaa kaisaa hai hunar!
kaaGhaz me.n qaid kartaa hai gaehaa.n kabhii kabhii

yazdaa.n: god
bazm-e-tarab: Gathering Of Happiness, khushi ki mehfil
gardish-e-dauraa.n:Ups And Downs Of Life
gaehaa.n: world

No comments:

Post a Comment