April 1, 2009

ग़ज़ल::तेरे इश्क़ की इंतहा चाहता हूं

1. jafaakaar se mai.n wafaa chaahtaa huu.n
meree aashiiqii dekh kyaa chaahtaa huu.n

Am expecting loyalty from a faithless woman
Guess what I want, looking at my passion

2. muhabbat me.n hona fanaa chaahtaa huu.n
sadaa chaahtaa thaa, sadaa chaahtaa huu.n

To sacrifice myself in love, that’s what I want
I always wanted it and that all i always want

3. kahaa.n mai.n kisii ka buraa chaahtaa huu.n
bhalaa aadmeee huu.n bhalaa chaahta huu.n,

I never ever wanted to hurt anyone
Desired always good, I am a noble one

4. zaruurat nahii.n hai kisii kee mujhe ab
mai.n tujh saa hi ek dil-rubaa chaahtaa huu.n

Any one, anymore,.. i dont think I need
But i always desired someone like you ,very sweet

5. mai.n khushiyaa.n tujhe de ke Gham saare lu.ngaa
mai.n saudaa ye tujh se kharaa chaahtaa huu.n

I will exchange all your pains with my gaiety
And I want to do this deal with you fairly

6.mai.n jo yaad aauu.n tuu duniyaa bhulaa de
tere ishq ki intahaa chaahataa huu.n

Forget the whole world,when i an being thought,
you love me to the extreme, thats all i want

7. tujhe dekh kar mai.n Ghazal ik kahuu.n par
mai.n shero.n me.n rang-e-anaa chaahtaa huu.n

To say a poem looking at you, is a desire of mine
but,I want colours of myself in each and every line

8. nazar me.n teri gar muhabbat khataa ho
khataawaar huu.n mai.n, sazaa chaahtaa huu.n

If, in your eyes it’s a serious crime to love
I am your victim,and punishment I deserve

9. nikhaar in gulo.n ko aye baad e sabaa tuu
mai.n apnaa chaman khushnumaa chaahtaa huu.n

oh!! morning breezes,do beautify every flower
very pleasant , i want, my gardens to appear

10. miTaa kar sabhii nafrate.n, bazm e jaanaa.n
nayee daur kee ibtidaa chaahtaa huu.n

End up all the hatred oh!! dear ones of this gathering
I want this era with a new beginning

11. jafaa kar, wafaa kar, jo marzee ho teree
mai.n tujh se bas ik silsilaa chaahtaa huu.n

You be faithful or faithless to me, its all up to you
But always be in touch with me, that's all I want from you

12. haseeno.n se ummeed :Ghaafil: wafaa kee
khudaayaa! khudaayaa! yeh kyaa chaahtaa huu.n!!!

Beauties to be faithful, Ghafil is expecting
Oh god!!.. my lord!!!...what am I expecting!!!

March 14, 2009

ग़ज़ल:: अक्स हैं हम आईना दिखलायें क्या

हाल-ए-सोज़-ए-दिल तुम्हे बतलायें क्या
अश्क का पैमाना फिर छलकायें क्या


may I show you the state of my heart pain
may I spill the cup of my tears once again

नार-ए-उल्फ़त! ऐ सनम भड्कायें क्या
हम तुम्हारे और क़रीब आ जायें क्या


the fire of love,my dear, may I blow
may I come closer to you, a bit more

दिल में धड्कन बन के हम बस जायेंगे
जिस्म दो हैं जान एक हो जायें क्या?


As a heart beat, in your heart I will reside
To become a single life, let the two souls unite

क्युं नहीं करती हमारा ऐतबार?
"अक्स हैं हम आईना दिखलायें क्या"


Why am I never worthy of your trust
Let me show you a mirror,I am your reflect

इश्क़ दोज़ख भी है, जन्नत भी है इश्क़
देखिये क़िस्मत में अपनी पायें क्या


love is hell and love is also heavenly
lets see what I get from my destiny

हम ज़मीं की ख़ाक तुम नूर-ए-फ़लक
तो उफ़ुक़ पर ,चल के हम मिल जायें क्या


I am the dust of earth,and in the sky you shine as light
Shall we walk upto the horizons ,and there we unite

ज़िन्दगी के पेच-ओ-खम में फंस गये
क्या करें! अब रोयें क्या! मुस्कायें क्या!


lost I am in the twists and turns of life in deep
confused I am,should I smile or should I weep

अब कहां :ग़ाफ़िल: वो शौक़-ए-शाइरी!
आप ही फ़रमाइये, फ़रमायें क्या?


for poetry,.. Ghaafil now hardly have any interest
what should I say..,why don't you suggest

-मयंक

March 3, 2009

मुहब्बत करेगी असर धीरे धीरे

मुहब्बत करेगी असर धीरे धीरे
'इधर धीरे धीरे उधर धीरे धीरे'

झुकाती हो जब तुम नज़र धीरे धीरे
मिरा दिल है जाता ठेहर धीरे धीरे

क़िता:-

--------
"मैं हूं बस तुम्हारी, तुम्हारी रहूंगी"
कहा था येह पीछ्ले पहर धीरे धीरे

हुये हम हैं क़ुर्बान वादों पे तेरे
न जाना, ऐ जानां मुकर धीरे धीरे
---------

ये राह-ए-मुहब्बत नहीं इतनी आसान
संभल कर मिरे हम-सफ़र! धीरे धीरे

करूं गर ख़ता तो मुझे तुम बताना
न तुम फेर लेना नज़र धीरे धीरे

न खन्जर चलाया किया फिर भी घायल
हसीनों का जाना हुनर धीरे धीरे

लगी सेहल उल्फ़त मुझे इब्तिदा में
हुयी सख़्त येह रेह्गुज़र धीरे धीरे

हुआ दीन-ओ-दुनिया से :ग़ाफ़िल: मैं यारा
तुझे देख कर सोच कर धीरे धीरे

-मयंक

March 2, 2009

be-wafaa'oN se dil lagaa baiThe


be-wafaa'oN se dil lagaa baiThe
hosh ham apne yooN gaNwaa baiThe

ham ko palkoN peh kal biThaayaa th`aa
aaj naz^roN se woh giraa baiThe

ham ne Gham jab bhee dekhe auroN ke
saare Gham apne ham bhulaa baiThe

aisee raaheN haiN is muHabbat kee
khud ko ham Khud se hee ch`upaa baiThe

un se chaahee wafaa kee jab sauGhaat
apnee naz^roN ko woh ph`iraa baiThe

jaane kya kya khata hu_ii ham se
chhuuriyaaN dil pe voh chalaa baiThe

muflisee meN woh aaYe to 'Mayank'
apne zaKhmoN ko hee sajaa baiThe

maiN baat dil se kahta huuN yah baat merii maaniYe!

maiN baat dil se kahta huuN yah baat merii maaniYe!
mil jaaYe gaa sab kuch waheeN dar par Khudaa ke jaaniYe!

yeh zindagee kee raah pyaare! muKhtaSar hee jaaniYe!
hai lamHah lamHah qeematee kuch mol to pehchaaniYe!

gar HauSile ooNche hoN to baadal bhee Khud chhaT jaaYeN ge
kaT jaayeNgii duShwaariyaaN jo kaam dil meiN Thaaniye!

jab un ke paas aataa hooN maiN woh door mujh se jaate haiN
hai un ke dil meN baat kyaa yeh raaz kaise jaaniYe?

chehre ke peechhe haiN chhupe chehre bohat, ShakleN hazaar
duShman kee kyaa pehchaan hai aur dost kis ko jaaniYe?

TooTaa hu'aa. looTaa hu'aa, sahmaa hu'aa, bikhraa hu'aa
ham aap ko dil de chuke haiN, maaniYe nah maaniYe!

kucHh lafz^ haiN TooTe :Mayank:, eHsaas kucHh bikhre huwe
yaaroN se maiN kehtaa huuN :mujh ko jaaniye, pehchaaniYe:!

agar dil meN mere muHabbat na hotii

agar dil meN mere muHabbat na hotii
'qayaamat se pahle qayaamat na hotii'

takabbur na hotaa agar husn ko bh`ee
haseenoN ki Zaalim si fitrat na hotii

(Takabbur: Ghuruur)

kabhii mil ke tujh se judaa ham na hote
jo qismat hai meri voh qismat na hotii

samajh lete log dil ki mazbuuriyaaN gar
muHabbat se baRh kar siqaafat na hotii

(Siqaafat: Rasm, Tehzib)

tere hijr meN din haseeN hote mere
terii yaado se gar jo qurbat na hotii

(qurbat: nazdeekiyaaN)

khataa aisi kee ham ne tau ishq kar ke
hai yeH jurm aisaa zamaanat na hotii

bagher chaaNdnii aaj tanha hai Mayank
ye baadal na hote to furqat na hotii

( Mayank: Moon also takhallus here)

Ghaafil' ke muHabbat kii sadaa tum to nahiiN ho

'Ghaafil' ke muHabbat kii sadaa tum to nahiiN ho?
har dard-o-aziiyat kii davaa tum to nahiiN ho?

(dard-o-aziiyat: dukh dard)

maana hai jise dil ne Khudaa tum to nahiiN ho!
eemaan karam ishq wafaa tum to nahiiN ho?

madhoshi muHabaat kii jo chhaayee to yeh socha
jo mae'y meiN chhupaa hai vo naSha tum to nahiiN ho?

(Mae'y: Sharaab, MadhoShi: naSha)

jab jaatii ho baaGhoN meiN to khil jaatii haiN kaliyaaN
KhuShbuu ke mahekne kii adaa tum to nahiiN ho?

kyuN sajde kiya karte haiN sab dar pe Khuda ke
armaaN-o- tamanna -e- duaa tum to nahiiN ho?

(sajde:Prayers )

phir yaad kiya tum ko to aaNkheN ho gayee nam,
ess hizr ke mausam kii sabaa tum to nahiiN ho

-Mayank

dard de na Shifaa kare koii,

dard de na Shifaa kare koii,
yaar aisa huaa kare koii..

Sher:-

na mila kaaenaat meiN tujh sa,
kaaSh! tujh sa huaa kare koii..

jism ho jaayeNge judaa to kyaa,
rooh kaise judaa kare koii..

qitaa:-

ai Khudaa tere dar pe aa pahuNche,
door kab tak rahaa kare koii..

sar jhukaata hai jo tire aage,
kaise us ka buraa kare koii..

Sher:-

hai yeh aadam mureed-e-shaitaaN kyoN,
ho sake to bhalaa kare koii..

kar sake tau wafa karay duniya,
na kisii par jafaa kare koii..

Maqta arz hai:-

gardishoN meiN sitaare hoN'Ghaafil',
kyaa kahe aur kyaa kare koii..

Shifa: cure
Mureed-e-ShaitaaN: Shaitaan ka chela,

dil lagaa muurat se leNge ess qadar sochaa nah thaa

dil lagaa muurat se leNge ess qadar sochaa nah thaa
aansoo,oN se ho gaa daaman tar-batar, sochaa nah thaa!

ho gee ranj-o-Gham meN hee shaam-o-saHar, sochaa nah thaa
zindagee aise bhee hotee hai basar, sochaa nah thaa!

un ke har wa'deh peh ham ne Khaak Khud ko kar diyaa
apne wa'doN se woh jaaYeN ge mukar, sochaa nah thaa!

woh jafaa karte haiN, phir kehte haiN ham ko bewafaa
aise bhee hote haiN ustaad-e-hunar, sochaa nah thaa!

kyaa kamii thee dosto, daehShat-pasandoN kee bhalaa?
husn waale bhee machaadeNge ghadar sochaa nah thaa!

aaShiqii hai Shay burii, maaloom tha mujh ko magar
dam ba dam marna paDegaa umr bhar sochaa nah thaa!

hai kahaanee zindagee kee muKhtaSar "Ghafil" magar
ho gaa t^ai saaloN meN lamHoN kaa safar, sochaa nah thaa

dil lagaa murat se leNge ess kadar sochaa nah thaa!
aansoo,oN se ho gaa daaman tar-batar, sochaa nah thaa!

- Mayank

shaam-o-Sahar: subah shaam
daehShat-pasandoN : terrorist
mukhatasr: small
ustaad-e-hunar: boss of talent

hame dil se apne bhulaane lage haiN

hame dil se apne bhulaane lage haiN
qayaamat ke din paas aane lage haiN

aduu ko gale se lagaane lage haiN
sitam par sitam ham pe Dhaane lage haiN

voh kyuN be-sabab muskuraane lage haiN!
kahiiN aur dil kyaa lagaane lage haiN!

sitam un ke tauba! karam un ke tauba!
adaa kaisee kaisee dikhaane lage haiN

muHabbat bhee dhokaa, wafaa bhee hai dhokaa
yehee soch dil ko manaane lage haiN

bichhaayee theeN kal jin kee raahoN meN palkeN
churaa kar naz^ar aaj jaane lage haiN

muHabbat meN ik pal meN khoyaa hai woh sab
jo paane meiN ham ko zamaane lage haiN

nahiiN pa'er uThate haiN masjid kii jaanib
to sar un ke dar par jhukaane lage haiN

huye haiN muhabbat meiN yuuN dar-ba-dar ham
qaZaa ke bhee ab din suhaane lage haiN

maqta arz hai:-

Zaraa dekho :Ghafil: ko kyaa ho gayaa hai?
Ghazal nazm kya kya sunaane lage haiN



-Mayank(Ghafil)


qayamat: Resurrection, Judgement Day
aduu:enemy
be-sabab:without reason
Karam: favour
masjid kii jaanib: towards mosque
dar-ba-dar: homeless/oust
qazaa: death
Ghafil: My takhallus


dil nahii.n hai ye jaan hai pyaare


dil nahii.n hai ye jaan hai pyaare
is me.n ik mehrbaan hai pyaare

ham vafaa karte tum jafaa karte,
kaisa tera iimaan hai pyaare!

paas reh ke bhi duur huu.n tujh se,
Ishq ki imti'haan hai pyaare!

chaah par bas nahi.n rahaa mera,
hasrateN be-iimaan hain pyaare

ho ke haasil bhi tu nahii.n haasil
faasle darmiyaan hai pyaare

muskuraane se dard hota hai
dard to dil ka shaan hai pyaare

TooTe dil rehte hai.n jahaa.n mayank
ghar nahii.n vo makaan hai pyaare

-Mayank

be-wafaa,oN se pyaar rakhte haiN

be-wafaa,oN se pyaar rakhte haiN
haaN! dil-e-beqaraar rakhte haiN

Haal-e-dil se ho koii kyoN waaqif
lab pe ham eKhtiyaar rakhate haiN

chehre raushan haiN sab ke duniyaa meiN
phir bhee dil meN Ghubaar rakhte haiN

iNtehaa-e-junuun-e-iShq hai yeh
ham tera aitbaar rakhate haiN

laakh shikwe hoN apne dil meN magar
Hasrat-e-deed-e-yaar rakhte haiN

HaaSil-e-zindagee naheeN kuch bhee
KhwaahisheN par hazaar rakhte haiN

Dekhna, phir na ho Khata-e-iShq!
daaman-e-daaGh-daar raKhate haiN

falsafah zindagee kaa hai :Mayank:
Hasrat-e-dil ko maar rakhte haiN

zulm woh Dhaate haiN ham par aazmaane ke liye

zulm woh Dhaate haiN ham par aazmaane ke liye
ham haiN un ko aazmaate zulm Dhaane ke liye

raaz-e-dil koyee naheeN hai ab chupaane ke liye
aur nah aaNkhoN meN rahe aaNsoo bahaane ke liYe

rasm-e-ulfat ham ne duniyaa meN yeh deKhee hai a'jeeb
dil lagaate haiN yahaaN dil ko duKhaane ke liye

kya kaheN ham ess adaa-e-jabr-e-kaafir ko bhala
haNs rahe haiN haal par mere rulaane ke liye

jo bhi aaya dil ke sho'loN ko hawaa deta rahaa
koyii aaye aag ess dil ki bujhaane ke liye

door masjid aur safar mushkil bohat hai dosto
chalte haiN ham un ke dar pe sar jhukaane k liye

un kaa andaaz-e-maseeHaayee dekh le Mayank tuu
zaKhm de kar kahte haiN woh muskuraane ke liye

-Mayank

zulm jo ham pe Dhaaye huye hai.n

zulm jo ham pe Dhaaye huye hai.n
dil ko wo hee lubhaaye huye hain

yuu.n to dil ko dukhaaye huye hai.n
phir bhi dil me.n samaaye huye hai.n

qadr un ko hamaaree kahaa.n hai
jin pe khud ko luTaaye huye hai.n

kya zaruurat manaane ki ham ko
ham to maane manaaye huye hai.n

un ke dam se hai mehfil yeh roshan
anjuman me.n woh chhaaye huye hai.n

sang-e-marmar sa chehra hai jaise,
chaa.ndnii se nahaaye huye hai.n.(q)

jal rahe ham faqat pyaar me.n aur
bijliyaa.n woh giraaye huye hai.n

dard-e-dil ham kahe.n kis se yaaro.n?
un ke hee sab sataaye huye hai.n

dekh utree huii Shakl bole
kis ka maatam manaaye huye hain?

kab sunenge woh fariyaad meri
dar pe sar ham jhukaaye huye hai.n

meri duniya ko veeraan kar ke
ghar aduu ka basaaye huye hai.n

zakhm un kee inaayat hai 'Ghafil'
Ham usi ko sajaaye huye hai.n


'ha.nstaa to hogaa aap bhee yazdaa.n kabhii kabhii'

chehre badaltaa kitane hai insaa.n kabhii kabhii
'ha.nstaa to hogaa aap bhee yazdaa.n kabhii kabhii'

naadaa.n kabhii hai bantaa to haiwaa.n kabhii kabhii
hotaa huu.n da.ng dekh ke insaa.n kabhii kabhii

bazm-e-tarab me.n yaad hai naam-e-khudaa kise!
karte hai.n yaad gardish-e-dauraa.n kabhii kabhii!

qaabil samajhataa khud ko woh jannat ke waaste!
gairo.n pe kar diyaa hai jo ehsaa.n kabhii kabhii

daulat pe is qadar to na itaraao dosto
mahalo.n ko hote dekhaa hai veeraa.n kabhii kabhii?

jis raah me.n hai ghar meraa us rah se bhee guzar
tuu puuraa kar de dil kaa yeh armaa.n kabhii kabhii

:Ghaafil:, khudaa ne tujh ko diyaa kaisaa hai hunar!
kaaGhaz me.n qaid kartaa hai gaehaa.n kabhii kabhii

yazdaa.n: god
bazm-e-tarab: Gathering Of Happiness, khushi ki mehfil
gardish-e-dauraa.n:Ups And Downs Of Life
gaehaa.n: world

khol kar dil ko dikhaa de.nge tum aao to sahii

khol kar dil ko dikhaa de.nge tum aao to sahii
gile-shikawe bhii miTaa le.nge tum aao to sahii

ham amaavas me.n bhii duniyaa ko dikhaa de.n ge chaa.nd
chhat pe ham, tum ko sajaa de.nge tum aao to sahii

ham ne waadaa yeh kiyaa kuchh na chhupaaye.nge kabhii
tum ko aaiinaa banaa le.nge tum aao to sahii

dil to kyaa cheez hai yeh jaan bhee haazir hai sanam
apnee hastii bhii miTaa de.nge tum aao to sahii

haath maa.ngaa hai to ham thaam ke bhee rakkhe.nge
ham-safar tum ko banaa le.nge tum aao to sahii

maa.ngate kyu.n ho charaagar se Gham-e-dil ki davaa
hum tumhe.n Gham ki dawaa de.nge tum aao to sahii

*chaaragar: physician

be-asar apnii-muhabbat ko na samjho, :Ghaafil:!
aag paanii me.n lagaa de.nge tum aao to sahii

-Mayank

kahaaN tak kisi par sitam Dhhaaiyegaa

kahaaN tak kisi par sitam Dhhaaiyegaa
sitam Dhaaieyega tau pachtaaieyegaa

na dil apna yuu.n aap taRpaaiyegaa
Khataa gar ho ham se tau samajhaaiyegaa

agar baat naa ban sake muskuraa kar
tau aShkoN se daaman bhigo laaiyegaa

haiN dar par tumhaare sadaa dast_basta
jo ho hukm sarkaar farmaaiyegaa

(dast_basta: hands folded . haath joRe)

Khilona jo samjhaa, bane ham Khilona
KhilonoN se kya dil ko behlaaiyega.

bagaawat, adaavat, jafaa aur zulmat
muHabbat meiN kya raNg diKhlaaiyega

bhulaane kee koShiSh kareiN ess tarah kee
jo bhoole haiN ham ab, na yaad aaiyegaa

muHabbat hai dil meiN Shikaayat zabaaN par
kareN kya ab izhaar farmaaiyegaa

judaa ho ke :GHAFIL: nahiiN jee sakegaa
agar jaaieyegaa tau laut aaiyegaa

(Ghaafil: my taKhallus)

- Mayank