March 2, 2009

maiN baat dil se kahta huuN yah baat merii maaniYe!

maiN baat dil se kahta huuN yah baat merii maaniYe!
mil jaaYe gaa sab kuch waheeN dar par Khudaa ke jaaniYe!

yeh zindagee kee raah pyaare! muKhtaSar hee jaaniYe!
hai lamHah lamHah qeematee kuch mol to pehchaaniYe!

gar HauSile ooNche hoN to baadal bhee Khud chhaT jaaYeN ge
kaT jaayeNgii duShwaariyaaN jo kaam dil meiN Thaaniye!

jab un ke paas aataa hooN maiN woh door mujh se jaate haiN
hai un ke dil meN baat kyaa yeh raaz kaise jaaniYe?

chehre ke peechhe haiN chhupe chehre bohat, ShakleN hazaar
duShman kee kyaa pehchaan hai aur dost kis ko jaaniYe?

TooTaa hu'aa. looTaa hu'aa, sahmaa hu'aa, bikhraa hu'aa
ham aap ko dil de chuke haiN, maaniYe nah maaniYe!

kucHh lafz^ haiN TooTe :Mayank:, eHsaas kucHh bikhre huwe
yaaroN se maiN kehtaa huuN :mujh ko jaaniye, pehchaaniYe:!

No comments:

Post a Comment