March 2, 2009

agar dil meN mere muHabbat na hotii

agar dil meN mere muHabbat na hotii
'qayaamat se pahle qayaamat na hotii'

takabbur na hotaa agar husn ko bh`ee
haseenoN ki Zaalim si fitrat na hotii

(Takabbur: Ghuruur)

kabhii mil ke tujh se judaa ham na hote
jo qismat hai meri voh qismat na hotii

samajh lete log dil ki mazbuuriyaaN gar
muHabbat se baRh kar siqaafat na hotii

(Siqaafat: Rasm, Tehzib)

tere hijr meN din haseeN hote mere
terii yaado se gar jo qurbat na hotii

(qurbat: nazdeekiyaaN)

khataa aisi kee ham ne tau ishq kar ke
hai yeH jurm aisaa zamaanat na hotii

bagher chaaNdnii aaj tanha hai Mayank
ye baadal na hote to furqat na hotii

( Mayank: Moon also takhallus here)

No comments:

Post a Comment